Gopal Das ‘Neeraj’ ji ki kavita
Main toofanon mein chalne ka aadi hoon
Tum mat meri manzil aasaan karo !
Hain phoon rokte, kaante mujhe chalaate,
Maroosthal, pahaad chalne ki chaah badhaate,
Sach kehta hoon mushkimein na jab hoti hai,
Mere pag tab chalne mein bhi sharmaate,
Mere sang chalne lage hawaayein jisse,
Tum path ke kan-kan ko toofan karo |
Main toofanon mein chalne ka aadi hoon
Tum mat meri manzil aasaan karo !
Angaar adhar pe dhar main muskaaya hoon,
Main marghat se zindagi bula laaya hoon,
Hoon aankh-michouni khel chula kismat se,
Sau baar mrityu ke gale choom aaya hoon,
Hai nahin mujhe sweekar dayaa apni bhi,
Tum mat mujh par koi ehsaan karo |
Main toofanon mein chalne ka aadi hoon
Tum mat meri manzil aasaan karo !
Sram ke jal se hi raah sadaa sinchti hai,
Gati ki mashaal aandhi mein hi hansti hai,
Shoolon se hi shringaar pathik ka hota,
Manzil ki maang lahu se ho sajti hai,
Pag mein gati aati hai chhaale chhilne se,
Tum pag pag par jalti chattaan dharo |
Main toofanon mein chalne ka aadi hoon
Tum mat meri manzil aasaan karo !
Phoolon se mag aasaan nahin hota hai,
Rukne se pag gatiwaan nahin hota hai,
Avrodh nahin to sambhav nahin pragati bhi,
Hai naash jahan nirmaan wahin hota hai,
Main basaa sakoon nav swarg dharaa par jisse,
Tum meri har basti veeran karo |
Main toofanon mein chalne ka aadi hoon
Tum mat meri manzil aasaan karo !
Main panthi toofanon mein raah banaata,
Meri duniya se keval itna naata -
Veh mujhe rokti hai avrodh bicchakar,
Main thokar use lagaakar badhta jaata,
Main thukraa sakoon tumhe bhi hanskar jisse,
Tum mera man-maanas paashaaN karo |
Main toofanon mein chalne ka aadi hoon
Tum mat meri manzil aasaan karo !
No comments:
Post a Comment